Hindi Status & Quotes

Wednesday, February 6, 2008

Gham Judai Ka - Altaf Raja Song

Gham Judai Ka - Altaf Raja Video Song



Gham Judai Ka - Song LyricsGham Judai Ka Yun to bahut tha magar,
Gham Judai Ka Yun to bahut tha magar,
Door tak haath fir bhi hilana pada,
baith kar railgadi mein wo chal diya,
rote rote hamein ghar ko aana padha,
Gham Judai Ka Yun ..........
..................................
wo to chal bhi diya dil mera tod kar,
mujhpe biti hai kya kash leta khabar,
ye wo gham hai jo hoga na kam umra bhar,
hoga paniyon pe kya pathro pe asar,
itna roya hun main yaad karke use,
aansuon mein mujhe doob jaana padha,
Gham Judai Ka Yun ..........
..................................
Jiski khatir jamane ko thukra diya,
uski chahat mein mujhko mila ye sila,
gair ke saath uska milan ho gaya,
meri majbooriyon ki nahi inteha,
uski shaadi mein uski khushi ke liye,
pyaar ke geet mujhko hi gaana pada,
Gham Judai Ka Yun to bahut tha magar,
Door tak haath fir bhi hilana pada,
baith kar railgadi mein wo chal diya,
rote rote hamein ghar ko aana padha,
rote rote hamein ghar ko aana padha,
rote rote hamein ghar ko aana padha....


1 comment: